Thursday, August 29, 2013

Halawat -e- Emaan Ka Bayan

Halawat -e- Emaan Ka Bayan


Halawat -e- Emaan Ka Bayan
Halawat -e- Emaan Ka Bayan
Roman Urdu :
Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Ye 3 Batain Jis Kisi May Hongi Wo Emaan Ki Mithas Paye Ga.

  1. Allah Aur Uss Kay Rusool Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Uskay Nazdeek Tamam Ma Siwa Say Zeyada Mehboob Ho Hon.
  2. Jis Kisi Say Muhabbat Karay To Sirf Allah He Kay Liye Karay.
  3. Aur Kufar May Wapis Janay Ko Aisa Bura Samjhay Jaisay Aag May Dalay Janay Ko.
Sahih Al Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 15
Hadees Marfooh : Mukarrarat 10 : Muttafiq Alaih 5
English Translation :

Narrated Anas : The Prophet Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi
Wa Sallam Said, “Whoever Possess The Following Qualities Will Have The Delight Of Faith”

  1. The One To Whom Allah And His Prophet Become Dearer Than Anything Else.
  2. Who Loves A Person And He Loves Him Only For Sake Of Allah.
  3. Who Hates To Revert To Disbelief As He Hates To Be Thrown Into Fire.

Friday, August 23, 2013

Allah Kay Rusool Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Muhabbat

Allah Kay Rusool Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Muhabbat
Allah Kay Rusool Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Muhabbat

Roman Urdu :
Nabi Kareem Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Tum May Say Koi Shakhs Momin Nahi Ho Sakta Jab Tak Uss Kay Nazdeek Mein Uskay Walid Aur Uski Aulad Aur Tamam Logon Say Zeyada Mehboob Na Ho Jaoon.
Sahih Al Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 14
Hadees Marfooh : Mukarrarat 8 : Muttafiq Alaih 4

English Translation :
Narrated Anas : The Prophet Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi
Wa Sallam Said, “None Of You Will Have Faith Till He Loves Me More Than His Father, His Children And All Mankind.”

Rasolullah Say Muhabbat Emaan Ka Hissa Hai

Rasolullah Say Muhabbat Emaan Ka Hissa Hai


Rasolullah Say Muhabbat Emaan Ka Hissa Hai
Rasolullah Say Muhabbat Emaan Ka Hissa Hai

Roman Urdu :
Abu Huraira Razi Allahu Ta'ala Anhu Say Riwayat Hai Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Uss Paak Zaat Ki Qasam Jiskay Qabzay May Meri Jaan Hai Kay Tum May Say Koi Shakhs Uss Waqt Tak Emaan Daar Nahi Ho Sakta Jab Tak Mein Uskay Nazdeek Uskay Baap Aur Uski Aulad Say Zeyada Mehboob Na Ho Jaoon.
Sahih Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 13
Hadees Marfooh : Mukarrarat 8 : Muttafiq Alaih 4

English Translation :
Narrated Abu Huraira : The Prophet Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi
Wa Sallam Said, “None Of You Will Have Faith Till He Loves Me More Than His Father And His Children.”

Sunday, August 18, 2013

Apnay Musalman Bhai Kay Liye Naik Khawahishat Rakhna

Apnay Musalman Bhai Kay Liye Naik Khawahishat Rakhna
Apnay Musalman Bhai Kay Liye Naik Khawahishat Rakhna

Roman Urdu :
Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Tum May Say Koi Shakhs Uss Waqt Tak Kaamil Momin Nahi Ban Sakta, Jab Tak Apnay Bhai Kay Liye Wohi Na Chahay Jo Apnay Liye Chahta Ho.
Sahih Al-Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 12
Hadees Marfooh : Mukarrarat 15 : Muttafiq Alaih 3

English Translation :
Narrated Anas : The Prophet Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi
Wa Sallam Said, “None Of You Will Have Faith Till He Wishes For
His Muslim Brother What He Likes For Himself.”

Saturday, August 17, 2013

Khana Khilanay Aur Salam Karnay Ki Fazeelat

Khana Khilana Behtareen Islam




Roman Urdu :
Aik Shakhs Nay Huzoor Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Say Poocha Kay Kiska Islam Sab Say Behtar Hai ? To Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Kay Khana Khilao Aur Jisko Jantay Ho Aur Jisko Na Jantay Ho Sab Ko Salam Karo.
Sahih Al Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 11
Hadees Marfooh : Mukarrarat 13 : Muttafiq Alaih 4

English Translation :
Narrated 'Abdullah Bin 'Amr: A Man Asked The Prophet Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam , "What Sort Of Deeds Or (What Qualities Of) Islam Are Good?" The Prophet Replied, 'To Feed (The Poor) And Greet Those Whom You Know And Those Whom You Do Not Know.