Monday, September 2, 2013

Gunah -e- Kabeerah Ka Bayan

Gunah -e- Kabeerah Ka Bayan


Gunah -e- Kabeerah Ka Bayan
Gunah -e- Kabeerah Ka Bayan
Roman Urdu :
Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Uss Waqt Farmaya Jab Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Kay Gird Sahaba Ki Aik Jama'at Baithee Hui Thee, Kay Tum Loge Mujh Say Iss Baat Pay Bai'at Karo Kay :
  1. Allah Kay Siwa Kisi Ko Shareek Na Karna.
  2. Chori Na Karna.
  3. Zina ( Adultery ) Na Karna.
  4. Apni Aulad Ko Qatal Na Karna.
  5. Na Kisi Par Aisa Bohtan Bandhna Jisko Tum Deeda-o-Danista Banao.
  6. Kisi Achee Baat May Allah Aur Uskay Rusool Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Na Farmani Na Karna.
Pas Jo Koi Tum May Say Is Aihad Ko Poora Karay Gaa, To Uska Sawwab Allah Kay Zimmay Hai Aur Jo Koi Inn Buri Baton May Say Kisi May Mubtala Ho Jaye Ga Aur Duniya May Uski Saza Usay Mil Jaye Gee To Ye Saza Uska Kaffara Ho Jaye Gee Aur Jo Koi Inn Buri Baton May Say Kisi May Mubtala Ho Jaye Ga Aur Allah Usko Duniya May Posheeda Rakhay Ga To Wo Allah Kay Hawalay Hai, Agar Chahay To Uss Say Darguzar Karay Aur Chahay To Usay Azab Day ( Ebada Bin Samat Kehtay Hain ) Kay Sab Logob Nay Aap Say Iss Baat Pay Bai'at Kar Li.
Sahih Al-Bukhari : Jild No. 1 : HadeesNo. 17
Hadees Mutwatir : Mukarrarat 40 : Muttafiq Alaih 20

English Translation :
Narrated 'ubada Bin As-samit: Who Took Part In The Battle Of Badr And Was A Naqib (a Person Heading A Group Of Six Persons), On The Night Of Al-'aqaba Pledge: Allah's Apostle Said While A Group Of His Companions Were Around Him, "swear Allegiance To Me For:

  1. Not To Join Anything In Worship Along With Allah.
  2. Not To Steal.
  3. Not To Commit Illegal Sexual Intercourse.
  4. Not To Kill Your Children.
  5. Not To Accuse An Innocent Person (to Spread Such An Accusation Among People).
  6. Not To Be Disobedient (when Ordered) To Do Good Deed." 
The Prophet Added: "whoever Among You Fulfills His Pledge Will Be Rewarded By Allah. And Whoever Indulges In Any One Of Them (except The Ascription Of Partners To Allah) And Gets The Punishment In This World, That Punishment Will Be An Expiation For That Sin. And If One Indulges In Any Of Them, And Allah Conceals His Sin, It Is Up To Him To Forgive Or Punish Him (in The Hereafter)." 'ubada Bin As-samit Added: "so We Swore Allegiance For These." (points To Allah's Apostle)

No comments:

Post a Comment