Monday, September 16, 2013

Agar Wo Tauba Kar Lain Aur Namaz Parhnay Lagain Aur Zakat Denay Lagain To Unka Qatal Tark Kar Do

Agar Wo Tauba Kar Lain Aur Namaz Parhnay Lagain Aur Zakat Denay Lagain To Unka Qatal Tark Kar Do


Agar Wo Tauba Kar Lain Aur Namaz Parhnay Lagain Aur Zakat Denay Lagain To Unka Qatal Tark Kar Do
Agar Wo Tauba Kar Lain Aur Namaz Parhnay Lagain Aur Zakat Denay Lagain To Unka Qatal Tark Kar Do
Roman Urdu :
Rasolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Mujhay Ye Hukam Diya Gaya Hai Kay Mein Logon Say Uss Waqt Tak Jang Karoon Jab Tak Kay Wo Iss Baat Ki Gawahi Na Denay Lagain Kay Allah Kay Siwa Koi Mabood Nahi Aur Ye Kay Muhammad Allah Kay Rusool Hain Aur Namazain Parhnay Lagain Aur Zakat Dain, Pas Jab Ye Kaam Karnay Lagain To Mujh Say Unkay Jaan-o-Maal Mehfooz Ho Jayen Gay, Ilawa Uss Saza Kay Jo Islam Nay Kisi Jurm May Un Par Muqarrar Kar Di Hai Aur Unka Hisab-o-Kitab Allah Kay Zimmay Hai.
Sahih Bukhari : Jild No.1 : Hadees No. 24
Hadees Mutwatir, Hadees Marfooh : Mukarrarat 2 : Muttafiq Alaih 2

English Translation :
Narrated Ibn 'umar: Allah's Apostle Said: "i Have Been Ordered (by Allah) To Fight Against The People Until They Testify That None Has The Right To Be Worshipped But Allah And That Muhammad Is Allah's Apostle, And Offer The Prayers Perfectly And Give The Obligatory Charity, So If They Perform That, Then They Save Their Lives And Property From Me Except For Islamic Laws And Then Their Reckoning (accounts) Will Be Done By Allah."

Sunday, September 15, 2013

Haya Emaan Ka Juz Hai

Haya Emaan Ka Juz Hai


Haya Emaan Ka Juz Hai
Haya Emaan Ka Juz Hai
Roman Urdu :
Nabi Kareem Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Aik Martaba Aik Ansari Sahabi Kay Paas Say Guzray Aur Unn Ko Dekha Kay Wo Apnay Baitay Ko Haya Kay Baray May Naseehat Kar Rahay Thay, To Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Kay Haya Kay Baray May Isko Naseehat Karna Chor Do Iss Liye Kay Haya Emaan May Say Hai.
Sahih Bukhari : Jild No.1 : Hadees No.23
Hadees Mutwatir, Hadees Marfooh : Mukarrarat 11 : Muttafiq Alaih 2

English Translation :
Narrated 'abdullah (bin 'umar): Once Allah's Apostle Passed By An Ansari (man) Who Was Admonishing To His Brother Regarding Haya'. On That Allah's Apostle Said, "leave Him As Haya' Is A Part Of Faith." (see Hadith No. 8)

Saturday, September 14, 2013

Ahl-e-Emaan Ka Aamaal May Aik Doosray Say Zeyada Honay Bayan

Ahl-e-Emaan Ka Aamaal May Aik Doosray Say Zeyada Honay Bayan


Ahl-e-Emaan Ka Aamaal May Aik Doosray Say Zeyada Honay Bayan
Ahl-e-Emaan Ka Aamaal May Aik Doosray Say Zeyada Honay Bayan
Roman Urdu :
Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Jannat Walay Jannat May Aur Dozakh Walay Dozakh May Dakhil Ho Jayen Gay, Iskay Baad Allah Ta'ala Farishton Say Farmaye Ga Kay Jis Kay Dil May Raai Barabar Bhee Emaan  Ho Usay Dozakh Say Nikal Lo. Pas Wo Dozakh Say Nikalay Jayen Gay Aur Wo Jal Kar Sayah Ho Chukay Hongay, Phir Wo Nehar-e-Haya Ya Nehar-e-Hayat May Dalay Jayen Gay Tab Wo Tar-o-Taza Ho Jayen Gay, Jis Tarah Dana Tar-o-Tazgi Kay Sath Pani Kay Sath Ugta Hai. aye Shakhs Kaya Tunay Nahi Dekha Kay Dana Kesa Sabz Konpal Zardi Mayel Nikalta Hai ? Iss Hadees Kay Aik Rawi Umar Nay Apni Aik Riwayat May Lafz Haya Ki Jaga Hayat Ka Lafz Aur Min Emaan Ki Bajaye Min Khair Riwayat Kiya Hai.
Sahih Bukhari : Jild No.1 : Hadees No. 21
Hadees-e-Qudsi : Mukarrarat 60 : Muttafiq Alaih 23

English Translation :
Narrated Abu Said Al-khudri: The Prophet Said, " when The People Of Paradise Will Enter Paradise And The People Of Hell Will Go To Hell, Allah Will Order Those Who Have Had Faith Equal To The Weight Of A Grain Of Mustard Seed To Be Taken Out From Hell. So They Will Be Taken Out But (by Then) They Will Be Blackened (charred). Then They Will Be Put In The River Of Haya' (rain) Or Hayat (life) (the Narrator Is In Doubt As To Which Is The Right Term), And They Will Revive Like A Grain That Grows Near The Bank Of A Flood Channel. Don't You See That It Comes Out Yellow And Twisted "

Sunday, September 8, 2013

Kufar May Wapisi Ko Bura Samajhna Emaan May Dakhil Hai

Kufar May Wapisi Ko Bura Samajhna Emaan May Dakhil Hai


Kufar May Wapisi Ko Bura Samajhna Emaan May Dakhil Hai
Kufar May Wapisi Ko Bura Samajhna Emaan May Dakhil Hai
Roman Urdu :
Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Jis Kisi May Ye 3 Batain Hon Gee Wo Emaan Ki Mithas Paye Ga :

  1. Wo Shakhs Jis Kay Nazdeek Allah Aur Uska Rasool Tamam Ma Siwa Say Zeyada Mehboob Ho.
  2. Wo Shakhs Jo Kisi Banday Say Sirf Allah Kay Liye Muhabbat Karay.
  3. Wo Shakhs Jo Emaan Naseeb Honay Kay Baad Kufar Ikhteyar Karnay Ko Aisa Bura Samjhay Jaisay Koi Aag May Dalay Janay Ko Bura Samajhta Hai.
Sahih Bukhari : Jild No.1 : Hadees No. 20
Hadees Marfooh : Mukarrarat 10 : Muttafiq Alaih 5

English Translation :

Narrated Anas: The Prophet Said, "whoever Possesses The Following Three Qualities Will Taste The Sweetness Of Faith: 
  1. The One To Whom Allah And His Apostle Become Dearer Than Anything Else. 
  2. Who Loves A Person And He Loves Him Only For Allah's Sake. 
  3. Who Hates To Revert To Disbelief (atheism) After Allah Has Brought (saved) Him Out From It, As He Hates To Be Thrown In Fire."

Monday, September 2, 2013

Allah Kay Rusool Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Sab Say Zeyada Allah Ko Jantay Hain

Allah Kay Rusool Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Sab Say Zeyada Allah Ko Jantay Hain


Allah Kay Rusool Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Sab Say Zeyada Allah Ko Jantay Hain
Allah Kay Rusool Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Sab Say Zeyada Allah Ko Jantay Hain

Roman Urdu :
Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Jab Logon Ko Aisay Aamaal Ka Hukam Detay Jo Wo Hamesha Kar Sakain ( Ebadaat-e-Shaq'qa Ki Targheeb Kabhi Unko Na Detay Thay ) Sahaba Nay Arz Kiya Ya Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ham Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Misal Nahi Hain, Beshak Allah Nay Aap Kay Aglay Aur Pichlay Gunah Muaaf Kar Diye Hain, Iss Par Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ghazab Naak Huwe Hatta Kay Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Kay Chehra-e-Mubarik Say Ghussa Zahir Honay Laga, Phir Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Tum May Sab Say Zeyada Allah Ta'ala Ka Jan'nay Wala Mein Hoon.
Sahih Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No.19
Hadees Marfooh : Mukarrarat 6 : Muttafiq Alaih 1

English Translation :
Narrated 'aisha: Whenever Allah's Apostle Ordered The Muslims To Do Something, He Used To Order Them Deeds Which Were Easy For Them To Do, (according To Their Strength Endurance). They Said, "o Allah's Apostle! We Are Not Like You. Allah Has Forgiven Your Past And Future Sins." So Allah's Apostle Became Angry And It Was Apparent On His Face. He Said, "i Am The Most Allah Fearing, And Know Allah Better Than All Of You Do."

Fitnon Say Bhagna Deen Dari Hai

Fitnon Say Bhagna Deen Dari Hai


Fitnon Say Bhagna Deen Dari Hai
Fitnon Say Bhagna Deen Dari Hai

Roman Urdu :
Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Qareeb Hai Kay Musalman Ka Acha Maal Bakriyan Hongi, Jin Ko Lekar Wo Paharon Ki Chotiyon Aur Chatiyal Maidanon May Chala Jaye Takay Wo Apnay Deen Ko Fitnon Say Bacha Lay.
Sahih Bukhari : Jild No.1 : Hadees No. 18
Hadees Marfooh : Mukarrarat 13 : Muttafiq Alaih 5

English Translation :
Narrated Abu Said Al-khudri: Allah's Apostle Said, "a Time Will Come That The Best Property Of A Muslim Will Be Sheep Which He Will Take On The Top Of Mountains And The Places Of Rainfall (valleys) So As To Flee With His Religion From Afflictions."

Gunah -e- Kabeerah Ka Bayan

Gunah -e- Kabeerah Ka Bayan


Gunah -e- Kabeerah Ka Bayan
Gunah -e- Kabeerah Ka Bayan
Roman Urdu :
Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Uss Waqt Farmaya Jab Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Kay Gird Sahaba Ki Aik Jama'at Baithee Hui Thee, Kay Tum Loge Mujh Say Iss Baat Pay Bai'at Karo Kay :
  1. Allah Kay Siwa Kisi Ko Shareek Na Karna.
  2. Chori Na Karna.
  3. Zina ( Adultery ) Na Karna.
  4. Apni Aulad Ko Qatal Na Karna.
  5. Na Kisi Par Aisa Bohtan Bandhna Jisko Tum Deeda-o-Danista Banao.
  6. Kisi Achee Baat May Allah Aur Uskay Rusool Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Na Farmani Na Karna.
Pas Jo Koi Tum May Say Is Aihad Ko Poora Karay Gaa, To Uska Sawwab Allah Kay Zimmay Hai Aur Jo Koi Inn Buri Baton May Say Kisi May Mubtala Ho Jaye Ga Aur Duniya May Uski Saza Usay Mil Jaye Gee To Ye Saza Uska Kaffara Ho Jaye Gee Aur Jo Koi Inn Buri Baton May Say Kisi May Mubtala Ho Jaye Ga Aur Allah Usko Duniya May Posheeda Rakhay Ga To Wo Allah Kay Hawalay Hai, Agar Chahay To Uss Say Darguzar Karay Aur Chahay To Usay Azab Day ( Ebada Bin Samat Kehtay Hain ) Kay Sab Logob Nay Aap Say Iss Baat Pay Bai'at Kar Li.
Sahih Al-Bukhari : Jild No. 1 : HadeesNo. 17
Hadees Mutwatir : Mukarrarat 40 : Muttafiq Alaih 20

English Translation :
Narrated 'ubada Bin As-samit: Who Took Part In The Battle Of Badr And Was A Naqib (a Person Heading A Group Of Six Persons), On The Night Of Al-'aqaba Pledge: Allah's Apostle Said While A Group Of His Companions Were Around Him, "swear Allegiance To Me For:

  1. Not To Join Anything In Worship Along With Allah.
  2. Not To Steal.
  3. Not To Commit Illegal Sexual Intercourse.
  4. Not To Kill Your Children.
  5. Not To Accuse An Innocent Person (to Spread Such An Accusation Among People).
  6. Not To Be Disobedient (when Ordered) To Do Good Deed." 
The Prophet Added: "whoever Among You Fulfills His Pledge Will Be Rewarded By Allah. And Whoever Indulges In Any One Of Them (except The Ascription Of Partners To Allah) And Gets The Punishment In This World, That Punishment Will Be An Expiation For That Sin. And If One Indulges In Any Of Them, And Allah Conceals His Sin, It Is Up To Him To Forgive Or Punish Him (in The Hereafter)." 'ubada Bin As-samit Added: "so We Swore Allegiance For These." (points To Allah's Apostle)

Ansaar Say Muhabbat Rakhna Emaan Ki Nishani Hai

Anssar Say Muhabbat Rakhna Emaan Ki Nishani Hai


Anssar Say Muhabbat Rakhna Emaan Ki Nishani Hai
Anssar Say Muhabbat Rakhna Emaan Ki Nishani Hai
Roman Urdu :
Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Ansaar Say Muhabbat Emaan Daar Honay Ki Nishani Hai Aur Ansaar Say Dushmani Rakhna Munafiq Honay Ki Nishani Hai.
Sahih Al-Bukhari : Jild No. 1: Hadees : 16
Hadees Marfooh : Mukarrarat 5 : Muttafiq Alaih : 4

English Translation :
Narrated Anas: The Prophet Said, "love For The Ansar Is A Sign Of Faith And Hatred For The Ansar Is A Sign Of Hypocrisy."