Showing posts with label Emaan Ki Nishaniyan. Show all posts
Showing posts with label Emaan Ki Nishaniyan. Show all posts

Sunday, September 15, 2013

Haya Emaan Ka Juz Hai

Haya Emaan Ka Juz Hai


Haya Emaan Ka Juz Hai
Haya Emaan Ka Juz Hai
Roman Urdu :
Nabi Kareem Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Aik Martaba Aik Ansari Sahabi Kay Paas Say Guzray Aur Unn Ko Dekha Kay Wo Apnay Baitay Ko Haya Kay Baray May Naseehat Kar Rahay Thay, To Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Kay Haya Kay Baray May Isko Naseehat Karna Chor Do Iss Liye Kay Haya Emaan May Say Hai.
Sahih Bukhari : Jild No.1 : Hadees No.23
Hadees Mutwatir, Hadees Marfooh : Mukarrarat 11 : Muttafiq Alaih 2

English Translation :
Narrated 'abdullah (bin 'umar): Once Allah's Apostle Passed By An Ansari (man) Who Was Admonishing To His Brother Regarding Haya'. On That Allah's Apostle Said, "leave Him As Haya' Is A Part Of Faith." (see Hadith No. 8)

Saturday, September 14, 2013

Ahl-e-Emaan Ka Aamaal May Aik Doosray Say Zeyada Honay Bayan

Ahl-e-Emaan Ka Aamaal May Aik Doosray Say Zeyada Honay Bayan


Ahl-e-Emaan Ka Aamaal May Aik Doosray Say Zeyada Honay Bayan
Ahl-e-Emaan Ka Aamaal May Aik Doosray Say Zeyada Honay Bayan
Roman Urdu :
Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Jannat Walay Jannat May Aur Dozakh Walay Dozakh May Dakhil Ho Jayen Gay, Iskay Baad Allah Ta'ala Farishton Say Farmaye Ga Kay Jis Kay Dil May Raai Barabar Bhee Emaan  Ho Usay Dozakh Say Nikal Lo. Pas Wo Dozakh Say Nikalay Jayen Gay Aur Wo Jal Kar Sayah Ho Chukay Hongay, Phir Wo Nehar-e-Haya Ya Nehar-e-Hayat May Dalay Jayen Gay Tab Wo Tar-o-Taza Ho Jayen Gay, Jis Tarah Dana Tar-o-Tazgi Kay Sath Pani Kay Sath Ugta Hai. aye Shakhs Kaya Tunay Nahi Dekha Kay Dana Kesa Sabz Konpal Zardi Mayel Nikalta Hai ? Iss Hadees Kay Aik Rawi Umar Nay Apni Aik Riwayat May Lafz Haya Ki Jaga Hayat Ka Lafz Aur Min Emaan Ki Bajaye Min Khair Riwayat Kiya Hai.
Sahih Bukhari : Jild No.1 : Hadees No. 21
Hadees-e-Qudsi : Mukarrarat 60 : Muttafiq Alaih 23

English Translation :
Narrated Abu Said Al-khudri: The Prophet Said, " when The People Of Paradise Will Enter Paradise And The People Of Hell Will Go To Hell, Allah Will Order Those Who Have Had Faith Equal To The Weight Of A Grain Of Mustard Seed To Be Taken Out From Hell. So They Will Be Taken Out But (by Then) They Will Be Blackened (charred). Then They Will Be Put In The River Of Haya' (rain) Or Hayat (life) (the Narrator Is In Doubt As To Which Is The Right Term), And They Will Revive Like A Grain That Grows Near The Bank Of A Flood Channel. Don't You See That It Comes Out Yellow And Twisted "

Sunday, September 8, 2013

Kufar May Wapisi Ko Bura Samajhna Emaan May Dakhil Hai

Kufar May Wapisi Ko Bura Samajhna Emaan May Dakhil Hai


Kufar May Wapisi Ko Bura Samajhna Emaan May Dakhil Hai
Kufar May Wapisi Ko Bura Samajhna Emaan May Dakhil Hai
Roman Urdu :
Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Jis Kisi May Ye 3 Batain Hon Gee Wo Emaan Ki Mithas Paye Ga :

  1. Wo Shakhs Jis Kay Nazdeek Allah Aur Uska Rasool Tamam Ma Siwa Say Zeyada Mehboob Ho.
  2. Wo Shakhs Jo Kisi Banday Say Sirf Allah Kay Liye Muhabbat Karay.
  3. Wo Shakhs Jo Emaan Naseeb Honay Kay Baad Kufar Ikhteyar Karnay Ko Aisa Bura Samjhay Jaisay Koi Aag May Dalay Janay Ko Bura Samajhta Hai.
Sahih Bukhari : Jild No.1 : Hadees No. 20
Hadees Marfooh : Mukarrarat 10 : Muttafiq Alaih 5

English Translation :

Narrated Anas: The Prophet Said, "whoever Possesses The Following Three Qualities Will Taste The Sweetness Of Faith: 
  1. The One To Whom Allah And His Apostle Become Dearer Than Anything Else. 
  2. Who Loves A Person And He Loves Him Only For Allah's Sake. 
  3. Who Hates To Revert To Disbelief (atheism) After Allah Has Brought (saved) Him Out From It, As He Hates To Be Thrown In Fire."

Wednesday, August 14, 2013

Aamaal May Aik Doosray Say Zeyada Hona

Aamaal May Aik Doosray Say Zeyada Hona


Aamaal May Aik Doosray Say Zeyada Hona
Aamaal May Aik Doosray Say Zeyada Hona
Roman Urdu :
Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Kay Mein Sonay Ki Halat May Tha Kay Mein Nay Ye Khawab Dekha Kay Loge Meray Samnay Paish Kiye Jatay Hain Aur Unn Kay Badan Par Qamees Hai ? Baaz Ki Qamees To Sirf Pastanon Tak He Hain Aur Baaz Unn Say Neechay Hai Aur Umar Bin Khattab ( Razi Allah Ta'ala Anhu ) Bhee Meray Samnay Paish Kiye Gaye Aur Unn Kay Badan Par Jo Qamees Hai Wo Itna Ooncha Hai Kay Wo Isko Kheenchtay Huwe Chaltay Hain, Sahaba Nay Arz Kiya Ya Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Aap Nay Iski Kaya Tabeer Li ? Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Iski Tabeer Deen Hai.
Sahih Bukhari : Jild No.1 : Hadees No. 22
Hadees Marfooh : Mukarrarat 8 : Muttafiq Alaih 5

English Translation :
Narrated Abu Said Al-Khudri: Allah's Apostle said, "While I was sleeping I saw (in a dream) some people wearing shirts of which some were reaching up to the breasts only while others were even shorter than that. Umar bin Al-Khattab was shown wearing a shirt that he was dragging." The people asked, "How did you interpret it? (What is its interpretation) O Allah's Apostle?" He (the Prophet ) replied, "It is the Religion."