Friday, August 16, 2013

Konsa Islam Afzal Hai

Konsa Islam Afzal Hai


Konsa Islam Afzal Hai
Konsa Islam Afzal Hai

Roman Urdu :
Aik Martaba Sahaba Nay Arz Kiya Ya Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Kon Sa Islam Afzal Hai To Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Uss Shakhs Ka Islam Jiski Zuban Say Doosray Musalman Ezaa ( Nuqsan ) Na Payen.
Sahih Al Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 10
Hadees Marfooh, Hadees Mutwatir : Mukarrarat 8 : Muttafiq Alaih 4

English Translation :
Narrated Abu Musa: Some People Asked Allah's Apostle Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam, "Whose Islam Is The Best? I.E. (Who Is A Very Good Muslim)?" He Replied, "One Who Avoids Harming The Muslims With His Tongue And Hands."

Sachay Musalman Ki Nishani

Sachay Musalman Ki Nishani

Sachay Musalman Ki Nishani
Sachay Musalman Ki Nishani

Roman Urdu :
Hazrat Abdullah Bin Umro (R.A) Nabi Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Say Naqal Kartay Hain Kay Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Pakka Musalman Wo Hai Jiski Zuban Aur Hath Say Musalman Ezaa ( Nuqsan ) Na Payen, Aur Poora Mohajir Wo Hai Jo Unn Cheezon Ko Chor Day Jin Ki Allah Nay Mamane'at Farmai Hai.
Sahih Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 9
Hadees Mutwatir, Hadees Marfooh : Mukarrarat 33 : Muttafiq Alaih 3

English Translation :
Narrated 'Abdullah Bin 'Amr: The Prophet Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Said, "A Muslim Is The One Who Avoids Harming Muslims With His Tongue And Hands. And A Muhajir (Emigrant) Is The One Who Gives Up (Abandons) All What Allah Has Forbidden."

Haya Emaan Ki Aik Shakh Hai

Haya Emaan Ki Aik Shakh Hai


Haya Emaan Ki Aik Shakh Hai

Roman Urdu :
Hazrat Abu Huraira (R.A) Nabi Kareem Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Say Naqal Kartay Hain Kay Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Emaan Ki 60 Say Kuch Oopar Shakhain Hain, Aur Haya Bhee Emaan Ki Shakhon May Say Aik Shakh Hai.
Sahih Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 8
Hadees Mautwatir : Hadees Marfooh : Mukarrarat 48 : Muttafiq Elaih : 3

English Translation :
Narrated Abu Huraira: The Prophet Said, "Faith (Belief) Consists Of More Than Sixty Branches (I.E. Parts). And Haya (This Term "Haya" Covers A Large Number Of Concepts Which Are To Be Taken Together; Amongst Them Are Self Respect, Modesty, Bashfulness, And Scruple, Etc.) Is A Part Of Faith."

Islam Kay 5 Sutoon

Islam Kay 5 Sutoon


Islam Kay 5 Sutoon



Roman Urdu :
Ibn-e-Umar Nay Kaha Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Kay Islam Ka Qasar 5 Sutoonon Par Banaya Gaya Hai, Iss Baat Ki Gawahi Dena Kay Allah Kay Siwa Koi Mabood Nahi Aur Ye Kay Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Allah Kay Rusool Hain, Namaz Parhna, Zakat Dena, Hajj Karna, Ramzan Kay Rozay Rakhna.
Sahih Al-Bukhari : Jild No.1 : Hadees No. 7
Hadees Marfooh : Mukarrarat 12 : Muttafiq Alaih : 5

English Translation :
Narrated Ibn 'Umar: Allah's Apostle Said: Islam Is Based On (The Following) Five (Principles):
To Testify That None Has The Right To Be Worshiped But Allah And Muhammad Is Allah's Apostle.
To Offer The (Compulsory Congregational) Prayers Dutifully And Perfectly.
To Pay Zakat (I.E. Obligatory Charity).
To Perform Hajj. (I.E. Pilgrimage To Mecca)
To Observe Fast During The Month Of Ramadan.

Hazrat Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Sakhawat

Hazrat Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Sakhawat





Roman Urdu :
Hazrat Ibn-e-Abbas (R.A) Say Riwayat Hai Kay Hazrat Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Sab Say Zeyada Sakhi Thay Aur Khas Taur Par Jab Ramzan May Jibraiel Alaihissalam Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Say Miltay To Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallan Sab Logon Say Zeyada Sakhi Hotay Thay Aur Jibraeil Alaihissalam Aap Say Har Ramzan Ki Har Raat May Miltay Aur Quran Ka Daur Kartay , Nabi Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Bhalai Pohnchanay May Thandi Hawa Say Bhee Zeyada Sakhi Thay.
Sahih Al-Bukhari : Jild No.1 : Hadees No.5
Hadees Marfooh : Mukarrat 17 : Muttafiq Alaih 7

English Translation :
Narrated Ibn 'Abbas: Allah's Apostle Was The Most Generous Of All The People, And He Used To Reach The Peak In Generosity In The Month Of Ramadan When Gabriel Met Him. Gabriel Used To Meet Him Every Night Of Ramadan To Teach Him The Qur'an. Allah's Apostle Was The Most Generous Person, Even More Generous Than The Strong Uncontrollable Wind (In Readiness And Haste To Do Charitable Deeds).