Friday, August 23, 2013

Rasolullah Say Muhabbat Emaan Ka Hissa Hai

Rasolullah Say Muhabbat Emaan Ka Hissa Hai


Rasolullah Say Muhabbat Emaan Ka Hissa Hai
Rasolullah Say Muhabbat Emaan Ka Hissa Hai

Roman Urdu :
Abu Huraira Razi Allahu Ta'ala Anhu Say Riwayat Hai Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Uss Paak Zaat Ki Qasam Jiskay Qabzay May Meri Jaan Hai Kay Tum May Say Koi Shakhs Uss Waqt Tak Emaan Daar Nahi Ho Sakta Jab Tak Mein Uskay Nazdeek Uskay Baap Aur Uski Aulad Say Zeyada Mehboob Na Ho Jaoon.
Sahih Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 13
Hadees Marfooh : Mukarrarat 8 : Muttafiq Alaih 4

English Translation :
Narrated Abu Huraira : The Prophet Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi
Wa Sallam Said, “None Of You Will Have Faith Till He Loves Me More Than His Father And His Children.”

Sunday, August 18, 2013

Apnay Musalman Bhai Kay Liye Naik Khawahishat Rakhna

Apnay Musalman Bhai Kay Liye Naik Khawahishat Rakhna
Apnay Musalman Bhai Kay Liye Naik Khawahishat Rakhna

Roman Urdu :
Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Tum May Say Koi Shakhs Uss Waqt Tak Kaamil Momin Nahi Ban Sakta, Jab Tak Apnay Bhai Kay Liye Wohi Na Chahay Jo Apnay Liye Chahta Ho.
Sahih Al-Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 12
Hadees Marfooh : Mukarrarat 15 : Muttafiq Alaih 3

English Translation :
Narrated Anas : The Prophet Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi
Wa Sallam Said, “None Of You Will Have Faith Till He Wishes For
His Muslim Brother What He Likes For Himself.”

Saturday, August 17, 2013

Khana Khilanay Aur Salam Karnay Ki Fazeelat

Khana Khilana Behtareen Islam




Roman Urdu :
Aik Shakhs Nay Huzoor Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Say Poocha Kay Kiska Islam Sab Say Behtar Hai ? To Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Kay Khana Khilao Aur Jisko Jantay Ho Aur Jisko Na Jantay Ho Sab Ko Salam Karo.
Sahih Al Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 11
Hadees Marfooh : Mukarrarat 13 : Muttafiq Alaih 4

English Translation :
Narrated 'Abdullah Bin 'Amr: A Man Asked The Prophet Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam , "What Sort Of Deeds Or (What Qualities Of) Islam Are Good?" The Prophet Replied, 'To Feed (The Poor) And Greet Those Whom You Know And Those Whom You Do Not Know.

Friday, August 16, 2013

Konsa Islam Afzal Hai

Konsa Islam Afzal Hai


Konsa Islam Afzal Hai
Konsa Islam Afzal Hai

Roman Urdu :
Aik Martaba Sahaba Nay Arz Kiya Ya Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Kon Sa Islam Afzal Hai To Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Uss Shakhs Ka Islam Jiski Zuban Say Doosray Musalman Ezaa ( Nuqsan ) Na Payen.
Sahih Al Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 10
Hadees Marfooh, Hadees Mutwatir : Mukarrarat 8 : Muttafiq Alaih 4

English Translation :
Narrated Abu Musa: Some People Asked Allah's Apostle Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam, "Whose Islam Is The Best? I.E. (Who Is A Very Good Muslim)?" He Replied, "One Who Avoids Harming The Muslims With His Tongue And Hands."

Sachay Musalman Ki Nishani

Sachay Musalman Ki Nishani

Sachay Musalman Ki Nishani
Sachay Musalman Ki Nishani

Roman Urdu :
Hazrat Abdullah Bin Umro (R.A) Nabi Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Say Naqal Kartay Hain Kay Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Pakka Musalman Wo Hai Jiski Zuban Aur Hath Say Musalman Ezaa ( Nuqsan ) Na Payen, Aur Poora Mohajir Wo Hai Jo Unn Cheezon Ko Chor Day Jin Ki Allah Nay Mamane'at Farmai Hai.
Sahih Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 9
Hadees Mutwatir, Hadees Marfooh : Mukarrarat 33 : Muttafiq Alaih 3

English Translation :
Narrated 'Abdullah Bin 'Amr: The Prophet Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Said, "A Muslim Is The One Who Avoids Harming Muslims With His Tongue And Hands. And A Muhajir (Emigrant) Is The One Who Gives Up (Abandons) All What Allah Has Forbidden."